apni haalat ka mujhe dhyan nahin hota hai
apnī hālat kā mujhe dhyān nahīñ hotā hai
'ishq sachchā ho to āsān nahīñ hotā hai
tujh se mil kar mujhe pahle sī ḳhushī miltī nahīñ
tū mujhe dekh ke hairān nahīñ hotā hai
ḳhairiyat pūchhtā hai sirf dikhāve ke liye
vo mire haal se anjān nahīñ hotā hai
pahle se baḌh ke mohabbat hai mujhe tujh se ab
kyoñ yaqīñ tujh ko mirī jaan nahīñ hotā hai
kab kahā ye ki mohabbat nahīñ kartā hai tū
tere hone pe mujhe maan nahīñ hotā hai
apni haalat ka mujhe dhyan nahin hota hai
'ishq sachcha ho to aasan nahin hota hai
tujh se mil kar mujhe pahle si KHushi milti nahin
tu mujhe dekh ke hairan nahin hota hai
KHairiyat puchhta hai sirf dikhawe ke liye
wo mere haal se anjaan nahin hota hai
pahle se baDh ke mohabbat hai mujhe tujh se ab
kyon yaqin tujh ko meri jaan nahin hota hai
kab kaha ye ki mohabbat nahin karta hai tu
tere hone pe mujhe man nahin hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.