apni mehnat se bahut log kamae hue hain
apnī mehnat se bahut log kamā.e hue haiñ
zindagī ham tire mazdūr haiñ chhā.e hue haiñ
terī jānib bhī hameñ fāsle tai karne paḌe
apnī jānib bhī kahīñ duur se aa.e hue haiñ
shahr māñgegā to tā'bīr bhī lā deñge ham
ye na.e ḳhvāb hamāre hī dikhā.e hue haiñ
kaisī rut thī ki vo tab bhuul ga.e the sab kuchh
kaisī rut hai ki hamīñ dhyān meñ laa.e hue haiñ
ik zarā sā to safar hai magar in logoñ ne
kaise kaise sar-o-sāmān uThā.e hue haiñ
apni mehnat se bahut log kamae hue hain
zindagi hum tere mazdur hain chhae hue hain
teri jaanib bhi hamein fasle tai karne paDe
apni jaanib bhi kahin dur se aae hue hain
shahr mangega to ta'bir bhi la denge hum
ye nae KHwab hamare hi dikhae hue hain
kaisi rut thi ki wo tab bhul gae the sab kuchh
kaisi rut hai ki hamin dhyan mein lae hue hain
ek zara sa to safar hai magar in logon ne
kaise kaise sar-o-saman uThae hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.