Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apni na-karda-gunahi ki saza ho jaise

Wakil Akhtar

apni na-karda-gunahi ki saza ho jaise

Wakil Akhtar

MORE BYWakil Akhtar

    apnī nā-karda-gunāhī sazā ho jaise

    ham se is shahr meñ har ek ḳhafā ho jaise

    sochte chehroñ pe jalte hue āsār-e-hayāt

    yak-ba-yak vaqt irfān huā ho jaise

    ye dhundalke ye dar-o-bām gambhīr sukūt

    chāñdnī raat meñ mahtāb luTā ho jaise

    tujh se milne tamannā tirī qurbat ḳhayāl

    reg-zāroñ meñ koī phuul khilā ho jaise

    vahī ḳhūbī vahī iḳhlās-o-muravvat ke nishāñ

    Hyderabad ki ik shahr-e-vafā ho jaise

    apni na-karda-gunahi ki saza ho jaise

    hum se is shahr mein har ek KHafa ho jaise

    sochte chehron pe jalte hue aasar-e-hayat

    yak-ba-yak waqt ka irfan hua ho jaise

    ye dhundalke ye dar-o-baam ka gambhir sukut

    chandni raat mein mahtab luTa ho jaise

    tujh se milne ki tamanna teri qurbat ka KHayal

    reg-zaron mein koi phul khila ho jaise

    wahi KHubi wahi iKHlas-o-murawwat ke nishan

    Hyderabad ki ek shahr-e-wafa ho jaise

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 533)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now