apni nazar se TuT kar apni nazar mein gum hua
apnī nazar se TuuT kar apnī nazar meñ gum huā
vo baḌā bā-shu'ūr thā apne hī ghar meñ gum huā
marg-zada the rang sab aa.ine pusht-e-chashm the
ik vahī dard-mand thā ḳhauf-o-ḳhatar meñ gum huā
rāste aa.ine bane paañv tamām rang the
is pe bhī ye savāl vo kaise safar meñ gum huā
soch havās meñ na thī aañkh hudūd meñ na thī
peḌ havā meñ uḌ ga.e saañp khañDar meñ gum huā
har ḳhabar us se thī ḳhabar aur vo be-panāh thā
harf-zada huā to phir ek ḳhabar meñ gum huā
mauj-e-shafaq sarāb thī marg-e-nazar ḳhayāl thā
dā.era aab par rahā nuqta bhañvar meñ gum huā
mujh meñ the jitne 'aib vo mere qalam ne likh diye
mujh meñ thā jitnā husn vo mere hunar meñ gum huā
apni nazar se TuT kar apni nazar mein gum hua
wo baDa ba-shu'ur tha apne hi ghar mein gum hua
marg-zada the rang sab aaine pusht-e-chashm the
ek wahi dard-mand tha KHauf-o-KHatar mein gum hua
raste aaine bane panw tamam rang the
is pe bhi ye sawal wo kaise safar mein gum hua
soch hawas mein na thi aankh hudud mein na thi
peD hawa mein uD gae sanp khanDar mein gum hua
har KHabar us se thi KHabar aur wo be-panah tha
harf-zada hua to phir ek KHabar mein gum hua
mauj-e-shafaq sarab thi marg-e-nazar KHayal tha
daera aab par raha nuqta bhanwar mein gum hua
mujh mein the jitne 'aib wo mere qalam ne likh diye
mujh mein tha jitna husn wo mere hunar mein gum hua
- Book : Natamam (Pg. 17)
- Author : Hakeem Manzoor
- Publication : Samt Publication 2/48 Rajendar Nagar New Delhi-10060 (1977)
- Edition : 1977
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.