Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apni pasand chhoD di uski KHarid li

Paras Mazari

apni pasand chhoD di uski KHarid li

Paras Mazari

MORE BYParas Mazari

    apnī pasand chhoḌ us ḳharīd

    virse khet bech ke koThī ḳharīd

    ik umr apne beToñ ko uñglī thamā.ī phir

    būḌhe ne ik dukān se lāThī ḳharīd

    vaise to nirḳh kam the gandum ke is baras

    aa.ī thī tere gaañv se mahñgī ḳharīd

    ham dostoñ ke pyaar meñ ham-rañg haiñ libās

    aur log kah rahe haiñ ki vardī ḳharīd

    tasvīr apnī ḳhud musavvir ko bhā ga.ī

    ḳhud gallery meñ pesh ḳhud ḳharīd

    ai hijr-zād tum ko bhī hai ārzū-e-vasl

    ai dasht-zād tum ne bhī kashtī ḳharīd

    dar-asl mas.ala to hai chalnā ghaḌī ke saath

    is se ġharaz nahīñ hai ki kaisī ḳharīd

    apni pasand chhoD di us ki KHarid li

    wirse ka khet bech ke koThi KHarid li

    ek umr apne beTon ko ungli thamai phir

    buDhe ne ek dukan se laThi KHarid li

    waise to nirKH kam hi the gandum ke is baras

    aai thi tere ganw se mahngi KHarid li

    hum doston ke pyar mein ham-rang hain libas

    aur log kah rahe hain ki wardi KHarid li

    taswir apni KHud hi musawwir ko bha gai

    KHud gallery mein pesh ki KHud hi KHarid li

    ai hijr-zad tum ko bhi hai aarzu-e-wasl

    ai dasht-zad tum ne bhi kashti KHarid li

    dar-asl masala to hai chalna ghaDi ke sath

    is se gharaz nahin hai ki kaisi KHarid li

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now