Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apni qismat ka sitara sar-e-mizhgan dekha

Talib Baghpati

apni qismat ka sitara sar-e-mizhgan dekha

Talib Baghpati

MORE BYTalib Baghpati

    apnī qismat sitārā sar-e-mizhgāñ dekhā

    aaj ham ne asar-e-jazba-e-pinhāñ dekhā

    ab kise DhūñD rahī hai nigah-e-nāz batā

    hāsil-e-jaur mire zūd-pashemāñ dekhā

    jo satātā hai vahī dil meñ jagah paatā hai

    ye mohabbat meñ na.ī tarz armāñ dekhā

    ab ye shikva hai vo pahlī ghaTā.eñ nahīñ

    ham na kahte the na kar zulf-e-pareshāñ dekhā

    shikva āsān thā ab us pashemānī hai

    kin nigāhoñ se tumheñ sar-ba-garebāñ dekhā

    apne marne nahīñ ġham ye malāl aatā hai

    kyuuñ zamāne ne tumheñ bāl-e-pareshāñ dekhā

    raat aatī hai to khā kar usī gesū qasam

    ham ne 'tālib' muqaddar shab-e-hijrāñ dekhā

    apni qismat ka sitara sar-e-mizhgan dekha

    aaj hum ne asar-e-jazba-e-pinhan dekha

    ab kise DhunD rahi hai nigah-e-naz bata

    hasil-e-jaur mere zud-pasheman dekha

    jo satata hai wahi dil mein jagah pata hai

    ye mohabbat mein nai tarz ka arman dekha

    ab ye shikwa hai wo pahli si ghaTaen hi nahin

    hum na kahte the na kar zulf-e-pareshan dekha

    shikwa aasan tha ab us ki pashemani hai

    kin nigahon se tumhein sar-ba-gareban dekha

    apne marne ka nahin gham ye malal aata hai

    kyun zamane ne tumhein baal-e-pareshan dekha

    raat aati hai to kha kar usi gesu ki qasam

    hum ne 'talib' ka muqaddar shab-e-hijran dekha

    Source:

    Shakh-e-Nabat (Pg. 202)

    • Author: Talib Baghpati
      • Publisher: Munshi Har Parshad
      • Year of Publication: 1936
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now