Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apni qismat pe ashk-bari kya

Amir Hamza Saqib

apni qismat pe ashk-bari kya

Amir Hamza Saqib

MORE BYAmir Hamza Saqib

    apnī qismat pe ashk-bārī kyā

    do kināroñ meñ ham-kinārī kyā

    us gul-e-nau-bahār ke aage

    shā'irī kaisī husn-kārī kyā

    saare chehre bujhe-bujhe se haiñ

    koī farmāñ huā hai jaarī kyā

    madrasa ‘ilm-o-fan qalam kāġhaz

    ab har ik shai hai ishtihārī kyā

    khusravī sar jhukā.e baiThī hai

    ho ga.ī jū-e-shīr jaarī kyā

    kul-badan se lahū nichoḌeñge

    ahl-e-duniyā ġham-gusārī kyā

    apni qismat pe ashk-bari kya

    do kinaron mein ham-kinari kya

    us gul-e-nau-bahaar ke aage

    sha'iri kaisi husn-kari kya

    sare chehre bujhe-bujhe se hain

    koi farman hua hai jari kya

    madrasa ‘ilm-o-fan qalam kaghaz

    ab har ek shai hai ishtihaari kya

    khusrawi sar jhukae baiThi hai

    ho gai ju-e-shir jari kya

    kul-badan se lahu nichoDenge

    ahl-e-duniya ki gham-gusari kya

    Source:

    Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 81)

    • Author: Ameer Hamza Saqib
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2019
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now