Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apni sachchai ka aazar jo pale hue hain

Arman Najmi

apni sachchai ka aazar jo pale hue hain

Arman Najmi

MORE BYArman Najmi

    apnī sachchā.ī āzār jo paale hue haiñ

    ḳhud ko ham gardish-e-āfāt meñ Daale hue haiñ

    band muTThī meñ jo ḳhushbū ko sambhāle hue haiñ

    ye samajhte haiñ ki tūfān ko Taale hue haiñ

    haiñ to ābād magar dar-badarī zad par

    vo bhī merī tarah ghar se nikāle hue haiñ

    apnī raftār se aage bhī nikal saktā huuñ

    mujh pe kab haavī mire paañv ke chhāle hue haiñ

    ab kisī bāb-e-samā.at pe na dastak deñge

    dafn sahrā fazāoñ meñ jo naale hue haiñ

    surḳh-rū jo hai vo merā koī ham-zād hai kyā

    nok-e-neza pe vo sar kis uchhāle hue haiñ

    un ke shāne haiñ har ik bār-e-garāñ se ḳhālī

    ab vo dastār nahīñ sar ko sambhāle hue haiñ

    vaz.a paas bhī rakhne ke rahe ahl kahāñ

    ḳhud ko ham aur kisī sāñche meñ Dhāle hue haiñ

    us ḳhushbū se tilismāt dar khulne lagā

    dīda-o-dil qad-o-gesū ke havāle hue haiñ

    apni sachchai ka aazar jo pale hue hain

    KHud ko hum gardish-e-afat mein Dale hue hain

    band muTThi mein jo KHushbu ko sambhaale hue hain

    ye samajhte hain ki tufan ko Tale hue hain

    hain to aabaad magar dar-badari ki zad par

    wo bhi meri hi tarah ghar se nikale hue hain

    apni raftar se aage bhi nikal sakta hun

    mujh pe kab hawi mere panw ke chhaale hue hain

    ab kisi bab-e-samaat pe na dastak denge

    dafn sahra ki fazaon mein jo nale hue hain

    surKH-ru jo hai wo mera koi ham-zad hai kya

    nok-e-neza pe wo sar kis ka uchhaale hue hain

    un ke shane hain har ek bar-e-garan se KHali

    ab wo dastar nahin sar ko sambhaale hue hain

    waza ka pas bhi rakhne ke rahe ahl kahan

    KHud ko hum aur kisi sanche mein Dhaale hue hain

    us ki KHushbu se tilismat ka dar khulne laga

    dida-o-dil qad-o-gesu ke hawale hue hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now