Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apni sada ko rang-e-shanasai de gaya

Fakhar Lala

apni sada ko rang-e-shanasai de gaya

Fakhar Lala

MORE BYFakhar Lala

    apnī sadā ko rang-e-shanāsā.ī de gayā

    andhā faqīr shahr ko bīnā.ī de gayā

    aaseb thā raaz koī chīḳhte hue

    ujḌe makāñ ko quvvat-e-goyā.ī de gayā

    jannat raunaqoñ ke pate baañT kar ḳhudā

    rāhib ko ḳhānqāh tanhā.ī de gayā

    gaañv ke peḌ shahr shamshān le gayā

    saaya churā ke baam parchhā.ī de gayā

    bārish meñ goriyoñ ke badan TūTte rahe

    būñdoñ meñ kaun gūñjtī shahnā.ī de gayā

    apni sada ko rang-e-shanasai de gaya

    andha faqir shahr ko binai de gaya

    aaseb tha ya raaz koi chiKHte hue

    ujDe makan ko quwwat-e-goyai de gaya

    jannat ki raunaqon ke pate banT kar KHuda

    rahib ko KHanqah ki tanhai de gaya

    ganw ke peD shahr ka shamshan le gaya

    saya chura ke baam ki parchhai de gaya

    barish mein goriyon ke badan TuTte rahe

    bundon mein kaun gunjti shahnai de gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now