Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apni tajalliyon se mamur ho gae hum

Syed Aabid Ali Aabid

apni tajalliyon se mamur ho gae hum

Syed Aabid Ali Aabid

MORE BYSyed Aabid Ali Aabid

    apnī tajalliyoñ se māmūr ho ga.e ham

    ḳhāk-e-rahguzar the tuur ho ga.e ham

    yāroñ tishna-kāmī zindāñ meñ yaad aa.ī

    saaqī se jaam le kar ranjūr ho ga.e ham

    ham aur ke zulf-e-ayyām se ulajhte

    ai kākul-e-pareshāñ majbūr ho ga.e ham

    yāroñ ne dushmanī ham ne ḳhulūs bartā

    kuchh duur ho ga.e vo kuchh duur ho ga.e ham

    mahfil meñ āḳhir-e-shab ik baat kamī thī

    vo baat ham ne kah mansūr ho ga.e ham

    apni tajalliyon se mamur ho gae hum

    ya KHak-e-rahguzar the ya tur ho gae hum

    yaron ki tishna-kaami zindan mein yaad aai

    saqi se jam le kar ranjur ho gae hum

    hum aur ja ke zulf-e-ayyam se ulajhte

    ai kakul-e-pareshan majbur ho gae hum

    yaron ne dushmani ki hum ne KHulus barta

    kuchh dur ho gae wo kuchh dur ho gae hum

    mahfil mein aaKHir-e-shab ek baat ki kami thi

    wo baat hum ne kah di mansur ho gae hum

    Source:

    Main Kabhi Ghazal Na Kahta (Pg. 47)

    • Author: Syed Aabid Ali Aabid
      • Publisher: Niyaz Ahmad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now