Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apni talab ka nam Dubone kyun jaen mai-KHane tak

Shaayar Lakhnavi

apni talab ka nam Dubone kyun jaen mai-KHane tak

Shaayar Lakhnavi

MORE BYShaayar Lakhnavi

    apnī talab naam Dubone kyuuñ jaa.eñ mai-ḳhāne tak

    tishna-labī ik dariyā hai shīshe se paimāne tak

    husn o 'ishq soz-e-ta.alluq samtoñ pāband nahīñ

    aksar to ḳhud sham' sho'la baḌh ke gayā parvāne tak

    rāh-e-talab ke pech-o-ḳham andāza āsān nahīñ

    ahl-e-ḳhirad kyā chiiz haiñ rasta bhuul ga.e dīvāne tak

    saaqī ko ye ḳhush-fahmī thī ham tak mauj na aa.egī

    pyaas jab paimāna chhalkā Duub ga.e mai-ḳhāne tak

    miTTī se jab phuul khilā.e kār-e-junūñ mehnat ne

    shahr kuchh is andāz se phaile pahuñche vīrāne tak

    zaḳhm-e-hunar rañg salāmat sab ko ḳhabar ho jā.egī

    kitne chehre ham ne tarāshe haath qalam ho jaane tak

    is ġhurbat dhuup meñ 'shā.ir' apnoñ saaya bhī na thā

    jis ġhurbat dhuup meñ ham ko yaad aa.e begāne tak

    apni talab ka nam Dubone kyun jaen mai-KHane tak

    tishna-labi ka ek dariya hai shishe se paimane tak

    husn o 'ishq ka soz-e-talluq samton ka paband nahin

    aksar to KHud sham' ka sho'la baDh ke gaya parwane tak

    rah-e-talab ke pech-o-KHam ka andaza aasan nahin

    ahl-e-KHirad kya chiz hain rasta bhul gae diwane tak

    saqi ko ye KHush-fahmi thi hum tak mauj na aaegi

    pyas ka jab paimana chhalka Dub gae mai-KHane tak

    miTTi se jab phul khilae kar-e-junun ki mehnat ne

    shahr kuchh is andaz se phaile ja pahunche virane tak

    zaKHm-e-hunar ka rang salamat sab ko KHabar ho jaegi

    kitne chehre hum ne tarashe hath qalam ho jaane tak

    is ghurbat ki dhup mein 'shair' apnon ka saya bhi na tha

    jis ghurbat ki dhup mein hum ko yaad aae begane tak

    Source:

    naquush (Pg. 232)

      • Edition: 1979
      • Publisher: kitabi duniya
      • Year of Publication: 1979
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now