apni tashhir kare ya mujhe ruswa dekhe
apnī tash.hīr kare yā mujhe rusvā dekhe
vo mire vāste is shahr meñ kyā kyā dekhe
lamha-e-rafta ko āvāz to detī hogī
ā.īna ā.īna jab koī vo mujh sā dekhe
shaam kī āḳhirī sarhad pe mirī tarah koī
apnī barbādī kā ḳhud hī na tamāshā dekhe
apne bachchoñ ko duā detā huuñ ye shaam o sahar
merī hī tarah ye duniyā tumheñ hañstā dekhe
pesh-e-ā.īna maiñ ab us ko sañvartā dekhūñ
sīḌhiyoñ se jo mujhe roz utartā dekhe
kis ne māñgī thī sar-e-shām duā mere liye
aaj kī raat tujhe chāñd na tanhā dekhe
maiñ chalā jā.ūñ to vo der talak khiḌkī se
shaam kī dhund meñ sach-much mirā rastā dekhe
mere ḳhvāboñ kī sadāqat ko zabāñ mil jaa.e
sub.h-dam jūñhī 'ziyā' apnā vo chehrā dekhe
apni tashhir kare ya mujhe ruswa dekhe
wo mere waste is shahr mein kya kya dekhe
lamha-e-rafta ko aawaz to deti hogi
aaina aaina jab koi wo mujh sa dekhe
sham ki aaKHiri sarhad pe meri tarah koi
apni barbaadi ka KHud hi na tamasha dekhe
apne bachchon ko dua deta hun ye sham o sahar
meri hi tarah ye duniya tumhein hansta dekhe
pesh-e-aina main ab us ko sanwarta dekhun
siDhiyon se jo mujhe roz utarta dekhe
kis ne mangi thi sar-e-sham dua mere liye
aaj ki raat tujhe chand na tanha dekhe
main chala jaun to wo der talak khiDki se
sham ki dhund mein sach-much mera rasta dekhe
mere KHwabon ki sadaqat ko zaban mil jae
subh-dam junhi 'ziya' apna wo chehra dekhe
- Book : AURAAQ (Pg. 247)
- Author : Wazir Agha, Sajjad Naqvi
- Publication : Auraaq Chauk, Urdu Bazar, Lahore (April, May 1982)
- Edition : April, May 1982
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.