Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apni to mohabbat ki itni si kahani hai

Musavvir Firozpuri

apni to mohabbat ki itni si kahani hai

Musavvir Firozpuri

MORE BYMusavvir Firozpuri

    apnī to mohabbat itnī kahānī hai

    TuuTī hui kashtī hai Thahrā huā paanī hai

    ik phuul kitāboñ meñ dam toḌ gayā lekin

    kuchh yaad nahīñ aatā ye kis nishānī hai

    bikhre hue pannoñ se yādeñ jhalaktī haiñ

    kuchh terī kahānī hai kuchh merī kahānī hai

    sāvan bahāroñ meñ naġhma haiñ na jhūle haiñ

    ākāsh āñkhoñ meñ rotā huā paanī hai

    chehroñ kitāboñ meñ alfāz nahīñ hote

    har ek shikan ḳhud meñ ik puurī kahānī hai

    chehroñ se to lagtā hai sab bhuul ke baiThe haiñ

    ham sirf musāfir haiñ ik raat bitānī hai

    maanā ki inheñ ik jhoñke ne girāyā hai

    har TūTte patte apnī kahānī hai

    apni to mohabbat ki itni si kahani hai

    TuTi hui kashti hai Thahra hua pani hai

    ek phul kitabon mein dam toD gaya lekin

    kuchh yaad nahin aata ye kis ki nishani hai

    bikhre hue pannon se yaaden si jhalakti hain

    kuchh teri kahani hai kuchh meri kahani hai

    sawan ki bahaaron mein naghma hain na jhule hain

    aakash ki aankhon mein rota hua pani hai

    chehron ki kitabon mein alfaz nahin hote

    har ek shikan KHud mein ek puri kahani hai

    chehron se to lagta hai sab bhul ke baiThe hain

    hum sirf musafir hain ek raat bitani hai

    mana ki inhen ek hi jhonke ne giraya hai

    har TuTte patte ki apni hi kahani hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now