Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aql ka zarf juda hosh ka paimana juda

Talib Dehlavi

aql ka zarf juda hosh ka paimana juda

Talib Dehlavi

MORE BYTalib Dehlavi

    Interesting Fact

    (September 1932)

    aql zarf judā hosh paimāna judā

    husn aur ishq donoñ se hai afsāna judā

    ishq bār-e-amānat kahāñ kam-māya kahāñ

    diin bulbul judā mashrab-e-parvāna judā

    dil meñ hai kirmak-e-shab-tāb ke bhī aag nihāñ

    lekin is aag se hai sozish-e-parvāna judā

    kab bure vaqt meñ hotā hai kisī koī

    sham.a gul hote ho jaatā hai parvāna judā

    gulshan-e-dahr meñ jab bū-e-vafā anqā ho

    kyā kare gar na rahe sabza-e-begāna judā

    ishq-bāzoñ se nahīñ bul-havasoñ ko nisbat

    un me.aar judā in hai paimāna judā

    teġh-e-qātil ke rahe sāmne ham sīna-sipar

    marte marte na huī himmat-e-mardāna judā

    chashm-e-bīnā meñ haiñ ye donoñ jagah manzil-e-yār

    na rah-e-ka.aba judā na rah-e-but-ḳhāna judā

    zarre zarre meñ hai kaunain ke us zuhūr

    donoñ aalam se hai phir jalva-e-jānāna judā

    merī āñkhoñ pe ġhaflat paḌā thā parda

    shāhid-e-husn-e-azal mujh se huā thā na judā

    zabt-e-ulfat kahīñ mumkin hai tunak-zarfoñ se

    tābish-e-sham.a judā sozish-e-parvāna judā

    nāla-e-ātish-e-ġham aur bhaḌak uThtā hai

    sham.a ke ho jo tasavvur meñ bhī parvāna judā

    hai suḳhan meñ mire ik jiddat-e-tāza 'tālib'

    merā mazmūñ judā unvāñ judā afsāna judā

    aql ka zarf juda hosh ka paimana juda

    husn aur ishq ka donon se hai afsana juda

    ishq ka bar-e-amanat kahan kam-maya kahan

    din bulbul ka juda mashrab-e-parwana juda

    dil mein hai kirmak-e-shab-tab ke bhi aag nihan

    lekin is aag se hai sozish-e-parwana juda

    kab bure waqt mein hota hai kisi ka koi

    shama gul hote hi ho jata hai parwana juda

    gulshan-e-dahr mein jab bu-e-wafa anqa ho

    kya kare gar na rahe sabza-e-begana juda

    ishq-bazon se nahin bul-hawason ko nisbat

    un ka mear juda in ka hai paimana juda

    tegh-e-qatil ke rahe samne hum sina-sipar

    marte marte na hui himmat-e-mardana juda

    chashm-e-bina mein hain ye donon jagah manzil-e-yar

    na rah-e-kaba juda na rah-e-but-KHana juda

    zarre zarre mein hai kaunain ke us ka hi zuhur

    donon aalam se hai phir jalwa-e-jaanana juda

    meri hi aankhon pe ghaflat ka paDa tha parda

    shahid-e-husn-e-azal mujh se hua tha na juda

    zabt-e-ulfat kahin mumkin hai tunak-zarfon se

    tabish-e-shama juda sozish-e-parwana juda

    nala-e-atish-e-gham aur bhaDak uThta hai

    shama ke ho jo tasawwur mein bhi parwana juda

    hai suKHan mein mere ek jiddat-e-taza 'talib'

    mera mazmun juda unwan juda afsana juda

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now