Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aql kahti hai koi DhunD mafar ki surat

Mohsin Ehsan

aql kahti hai koi DhunD mafar ki surat

Mohsin Ehsan

MORE BYMohsin Ehsan

    aql kahtī hai koī DhūñD mafar sūrat

    dil ye kahtā hai badal jā.egī ghar sūrat

    kaun raste meñ inheñ chhoḌ ke saktā hai

    ḳhvāhisheñ hotī haiñ sāmān-e-safar sūrat

    aadmī taash ke patte haiñ tire hāthoñ meñ

    ai ḳhudā bhī to hai shobada-gar sūrat

    merī tar-dāmanī-e-chashm pe yuuñ tanz na kar

    maiñ sadaf huuñ mirā dil hai guhar sūrat

    apnī zaat ik dā.era bun rakkhā hai

    apnī gardish meñ haiñ ham log bhañvar sūrat

    jaane kis samt ye shorīda-sarī le jaa.e

    zad meñ āñdhī huuñ TuuTe hue par sūrat

    kaun aayā sar-e-sahrā-e-mohabbat 'mohsin'

    zarra zarra mahak uTThā gul-e-tar sūrat

    aql kahti hai koi DhunD mafar ki surat

    dil ye kahta hai badal jaegi ghar ki surat

    kaun raste mein inhen chhoD ke ja sakta hai

    KHwahishen hoti hain saman-e-safar ki surat

    aadmi tash ke patte hain tere hathon mein

    ai KHuda tu bhi to hai shobada-gar ki surat

    meri tar-damani-e-chashm pe yun tanz na kar

    main sadaf hun tu mera dil hai guhar ki surat

    apni hi zat ka ek daera bun rakkha hai

    apni gardish mein hain hum log bhanwar ki surat

    jaane kis samt ye shorida-sari le jae

    zad mein aandhi ki hun TuTe hue par ki surat

    kaun aaya sar-e-sahra-e-mohabbat 'mohsin'

    zarra zarra mahak uTTha gul-e-tar ki surat

    Source:

    naquush (Pg. 262)

      • Edition: 1979
      • Year of Publication: 1979
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now