aql kam-baKHt sochti kyon hai
'aql kam-baḳht sochtī kyoñ hai
zindagī kyā hai zindagī kyoñ hai
sirf do gaz zamīn kaafī thī
kā.enāt is qadar baḌī kyoñ hai
aadmī aur aadmī āḳhir
āshnā aur ajnabī kyoñ hai
jis 'ināyat se jī nahīñ bhartā
vo 'ināyat kabhī kabhī kyoñ hai
maiñ kahīñ duur jā chukā hotā
darmiyāñ meñ tirī galī kyoñ hai
mustaqil ho to sabr aa jaa.e
dard abhī kyoñ nahīñ abhī kyoñ hai
tum ho itne hī pārsā to 'sha'ūr'
aise logoñ se dostī kyoñ hai
'aql kam-baKHt sochti kyon hai
zindagi kya hai zindagi kyon hai
sirf do gaz zamin kafi thi
kaenat is qadar baDi kyon hai
aadmi aur aadmi aaKHir
aashna aur ajnabi kyon hai
jis 'inayat se ji nahin bharta
wo 'inayat kabhi kabhi kyon hai
main kahin dur ja chuka hota
darmiyan mein teri gali kyon hai
mustaqil ho to sabr aa jae
dard abhi kyon nahin abhi kyon hai
tum ho itne hi parsa to 'sha'ur'
aise logon se dosti kyon hai
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 83)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.