Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aql ke dushman bhi hum Thahre dil ka bhi nuqsan kiya

Balraj Hairat

aql ke dushman bhi hum Thahre dil ka bhi nuqsan kiya

Balraj Hairat

MORE BYBalraj Hairat

    aql ke dushman bhī ham Thahre dil bhī nuqsān kiyā

    zauq-e-talab aaḌ meñ 'hairat' nafs ne kyā hairān kiyā

    ḳhalq kiyā hogā aadam ko vāqa.ī hazrat-e-yazdāñ ne

    lekin us naam batāo jis ne use insān kiyā

    raam the maryāda purushottam raam bāteñ rahne do

    aur batāo is duniyā meñ kis ne kis maan kiyā

    ham kuchh bhī to nahīñ the lekin aapā yaar burī shai hai

    pahroñ apnī yaad meñ ro.e jab bhī terā dhyān kiyā

    ab ye takalluf bhī duniyā meñ log kahāñ farmāte haiñ

    ne pūchhā haal hamārā yaar baḌā ehsān kiyā

    dil to isī ḳhātir hotā hai kyā ye tumheñ ma.alūm na thā

    'hairat' kyoñ barbādī-e-dil par itnā halkān kiyā

    aql ke dushman bhi hum Thahre dil ka bhi nuqsan kiya

    zauq-e-talab ki aaD mein 'hairat' nafs ne kya hairan kiya

    KHalq kiya hoga aadam ko waqai hazrat-e-yazdan ne

    lekin us ka nam batao jis ne use insan kiya

    ram the maryaada purushottam ram ki baaten rahne do

    aur batao is duniya mein kis ne kis ka man kiya

    hum kuchh bhi to nahin the lekin aapa yar buri shai hai

    pahron apni yaad mein roe jab bhi tera dhyan kiya

    ab ye takalluf bhi duniya mein log kahan farmate hain

    tu ne puchha haal hamara yar baDa ehsan kiya

    dil to isi KHatir hota hai kya ye tumhein malum na tha

    'hairat' kyon barbaadi-e-dil par ji itna halkan kiya

    Source:

    Azbar (Pg. 33)

    • Author: Balraj Hairat
      • Publisher: Universal Printing Works, Delhi
      • Year of Publication: 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now