Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aql ki kuchh kam nahin hai rahbari mere liye

Shauq Bahraichi

aql ki kuchh kam nahin hai rahbari mere liye

Shauq Bahraichi

MORE BYShauq Bahraichi

    aql kuchh kam nahīñ hai rahbarī mere liye

    har taraf light hai har-sū raushnī mere liye

    ab kahāñ hai husn meñ vo dilkashī mere liye

    rah ga.ī hañDiyāñ meñ ḳhālī khurchunī mere liye

    ātish-e-qahr-e-ḳhudā dam bhar meñ kar detī hai gul

    hai mirī tar-dāmanī ai ''ār-pī'' mere liye

    un ke tevar mehrbāñ un nigāheñ multafit

    de rahī hai zor puurī pārTī mere liye

    saikḌoñ jiine meñ laale lākhoñ raḳhne ziist meñ

    kirm-ḳhurda ai ḳhudā ye zindagī mere liye

    ahl-e-mahshar le ga.e qahr-o-ġhazab sab luuT kar

    sirf ik rahmat ḳhudā rah ga.ī mere liye

    dil meñ rañg-o-roġhan-e-dahqāñ rahtā hai ḳhayāl

    roz-marra gaañv se aatā hai ghī mere liye

    jab maiñ jānūñ ḳhidmat-e-ḳhalq-e-ḳhudā karte haiñ aap

    DhūñD diije koī aurat shaiḳh-jī mere liye

    shukr hai allāh hindostāñ meñ hai qayām

    yaañ zanānoñ nahīñ hai kuchh kamī mere liye

    'shauq' Tapkā paḌ rahā hai rū-e-jānāñ se shabāb

    sāmne rakkhī huī hai ras-bharī mere liye

    aql ki kuchh kam nahin hai rahbari mere liye

    har taraf light hai har-su raushni mere liye

    ab kahan hai husn mein wo dilkashi mere liye

    rah gai hanDiyan mein KHali khurchuni mere liye

    aatish-e-qahr-e-KHuda dam bhar mein kar deti hai gul

    hai meri tar-damani ai aar-pi mere liye

    un ke tewar mehrban un ki nigahen multafit

    de rahi hai zor puri parTi mere liye

    saikDon jine mein lale lakhon raKHne zist mein

    kirm-KHurda ai KHuda ye zindagi mere liye

    ahl-e-mahshar le gae qahr-o-ghazab sab luT kar

    sirf ek rahmat KHuda ki rah gai mere liye

    dil mein rang-o-roghan-e-dahqan ka rahta hai KHayal

    roz-marra ganw se aata hai ghi mere liye

    jab main jaanun KHidmat-e-KHalq-e-KHuda karte hain aap

    DhunD dije koi aurat shaiKH-ji mere liye

    shukr hai allah ka hindostan mein hai qayam

    yan zananon ki nahin hai kuchh kami mere liye

    'shauq' Tapka paD raha hai ru-e-jaanan se shabab

    samne rakkhi hui hai ras-bhari mere liye

    Source:

    intekhab-e-kalam shauq bahraichi (Pg. 56)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now