arsa-e-mah-o-sal se guzre
arsa-e-māh-o-sāl se guzre
raat rāh-e-visāl se guzre
tum ki 'ahd-e-vafā nibhā ke 'mīr'
kitne ranj-o-malāl se guzre
aa shab-e-vasl muḳhtasar hai bahut
kaun shart-e-savāl se guzre
kyā batā.eñ ki tere kūche se
kis hunar kis kamāl se guzre
kaun thā vo ki jis kī chāhat meñ
ḳhvāb ban kar ḳhayāl se guzre
dasht-e-vahshat se tere dīvāne
kaise jāh-o-jalāl se guzre
gardish-e-vaqt tham ga.ī 'ādil'
tum jo shahr-e-misāl se guzre
arsa-e-mah-o-sal se guzre
raat rah-e-visal se guzre
tum ki 'ahd-e-wafa nibha ke 'mir'
kitne ranj-o-malal se guzre
aa shab-e-wasl muKHtasar hai bahut
kaun shart-e-sawal se guzre
kya bataen ki tere kuche se
kis hunar kis kamal se guzre
kaun tha wo ki jis ki chahat mein
KHwab ban kar KHayal se guzre
dasht-e-wahshat se tere diwane
kaise jah-o-jalal se guzre
gardish-e-waqt tham gai 'adil'
tum jo shahr-e-misal se guzre
- Book : siip (Magzin) (Pg. 246)
- Author : Nasiim Durraani
- Publication : Fikr-e-Nau (39 (Quarterly))
- Edition : 39 (Quarterly)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.