Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

arz-e-ahwal-e-dil-e-zar karun ya na karun

Shuoor Bilgrami

arz-e-ahwal-e-dil-e-zar karun ya na karun

Shuoor Bilgrami

MORE BYShuoor Bilgrami

    arz-e-ahvāl-e-dil-e-zār karūñ na karūñ

    ishq se apne ḳhabar-dār karūñ na karūñ

    gosh-e-dil se kabhī vo haal sune na sune

    maiñ apne lab-e-guftār karūñ na karūñ

    bosa ik us se jo māñgā to lagā kahne nahīñ

    hai shash-o-panj ki takrār karūñ na karūñ

    kahiye ai hazrat-e-dil kyā hai salāh-e-daulat

    yaar se shikva-e-dīdār karūñ na karūñ

    phuul aage na mire toḌ zarā ai gulchīñ

    kah sair-e-gul-o-gulzār karūñ na karūñ

    arz-e-ahwal-e-dil-e-zar karun ya na karun

    ishq se apne KHabar-dar karun ya na karun

    gosh-e-dil se kabhi wo haal sune ya na sune

    wa main apne lab-e-guftar karun ya na karun

    bosa ek us se jo manga to laga kahne nahin

    hai shash-o-panj ki takrar karun ya na karun

    kahiye ai hazrat-e-dil kya hai salah-e-daulat

    yar se shikwa-e-didar karun ya na karun

    phul aage na mere toD zara ai gulchin

    kah tu sair-e-gul-o-gulzar karun ya na karun

    Source :
    • Book : Intekhab-e-kalam Shuur Bilgiramii (Pg. 58)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now