Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

arz-o-sama pe rang tha kaisa utar gaya

Jafar Shirazi

arz-o-sama pe rang tha kaisa utar gaya

Jafar Shirazi

MORE BYJafar Shirazi

    arz-o-samā pe rañg thā kaisā utar gayā

    āñdhī chalī to shaam chehra utar gayā

    tūfāñ zad na shor-e-talātum mujhe batāo

    maiñ mauj meñ nahīñ huuñ ki dariyā utar gayā

    kyā kyā rahī kanār-e-mohabbat dhun mujhe

    jin pāniyoñ meñ us ne utārā utar gayā

    ik kashmakash meñ ab haiñ samundar paḌe hue

    sahrā tah meñ phir koī pyāsā utar gayā

    bikhrā paḌā hai ḳhaak pe yuuñ chāñdnī jism

    jaise mirī ruuh meñ tesha utar gayā

    'ja.afar' kabhī na ye mere vahm-o-gumāñ meñ thā

    maiñ aur us ke dhyān se aisā utar gayā

    arz-o-sama pe rang tha kaisa utar gaya

    aandhi chali to sham ka chehra utar gaya

    tufan ki zad na shor-e-talatum mujhe batao

    main mauj mein nahin hun ki dariya utar gaya

    kya kya rahi kanar-e-mohabbat ki dhun mujhe

    jin paniyon mein us ne utara utar gaya

    ek kashmakash mein ab hain samundar paDe hue

    sahra ki tah mein phir koi pyasa utar gaya

    bikhra paDa hai KHak pe yun chandni ka jism

    jaise meri hi ruh mein tesha utar gaya

    'jafar' kabhi na ye mere wahm-o-guman mein tha

    main aur us ke dhyan se aisa utar gaya

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 386)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now