Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

asar aisa hai tap-e-gham mein dawa ka ulTa

Meer Kallu Arsh

asar aisa hai tap-e-gham mein dawa ka ulTa

Meer Kallu Arsh

MORE BYMeer Kallu Arsh

    asar aisā hai tap-e-ġham meñ davā ulTā

    nabz dekhe to ho bīmār masīhā ulTā

    ham-sarī qad-e-mauzūñ o ruḳh-e-raushan se

    chor tarah diyā sham.a ko laTkā ulTā

    sub.h ko chehra-e-ḳhurshīd kiran se niklā

    sar se us mah ne jo maq.īs sehrā ulTā

    ḳhafaqān-e-ġham-e-furqat se dil aisā ulTā

    muñh ke bāhar nikal aayā jo kaleja ulTā

    hasrat-e-dīd meñ āḳhir ko dam apnā ulTā

    parda-e-chashm na us shoḳh ne apnā ulTā

    naaz o andāz ne dīvāna banāyā dil ko

    us parī ne jo dam-e-raqs dupaTTā ulTā

    maiñ to kartā nahīñ ai 'arsh' gila furqat

    shikva-e-baḳhT vo kaj-bāz hai kartā ulTā

    asar aisa hai tap-e-gham mein dawa ka ulTa

    nabz dekhe to ho bimar masiha ulTa

    ham-sari ki qad-e-mauzun o ruKH-e-raushan se

    chor ki tarah diya shama ko laTka ulTa

    subh ko chehra-e-KHurshid kiran se nikla

    sar se us mah ne jo maqis ka sehra ulTa

    KHafaqan-e-gham-e-furqat se dil aisa ulTa

    munh ke bahar nikal aaya jo kaleja ulTa

    hasrat-e-did mein aaKHir ko dam apna ulTa

    parda-e-chashm na us shoKH ne apna ulTa

    naz o andaz ne diwana banaya dil ko

    us pari ne jo dam-e-raqs dupaTTa ulTa

    main to karta nahin ai 'arsh' gila furqat ka

    shikwa-e-baKHT wo kaj-baz hai karta ulTa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now