Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

asar dekha dua jab raat-bhar ki

Afsar Merathi

asar dekha dua jab raat-bhar ki

Afsar Merathi

MORE BYAfsar Merathi

    asar dekhā duā jab rāt-bhar

    ziyā kuchh kuchh hai tāroñ meñ sahar

    hue ruḳhsat jahāñ se sub.h hote

    kahānī hijr meñ yuuñ muḳhtasar

    taḌap uTThe lahad meñ sone vaale

    zamīñ samt yuuñ tum ne nazar

    sahar ko maut māñgī duā.eñ

    duā maqbūl hotī hai sahar

    ye bijlī hai ki ai abr-e-shab-e-hijr

    hai dhajjī ek dāmān-e-sahar

    asar dekha dua jab raat-bhar ki

    ziya kuchh kuchh hai taron mein sahar ki

    hue ruKHsat jahan se subh hote

    kahani hijr mein yun muKHtasar ki

    taDap uTThe lahad mein sone wale

    zamin ki samt yun tum ne nazar ki

    sahar ko maut ki mangi duaen

    dua maqbul hoti hai sahar ki

    ye bijli hai ki ai abr-e-shab-e-hijr

    hai dhajji ek daman-e-sahar ki

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 76)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now