Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ashk aankhon ke liye hai aur gham dil ke liye

Rahat Sultana

ashk aankhon ke liye hai aur gham dil ke liye

Rahat Sultana

MORE BYRahat Sultana

    ashk āñkhoñ ke liye hai aur ġham dil ke liye

    ik samundar ke liye hai ek sāhil ke liye

    ham-safar azm-e-safar ho to safar āsān hai

    rāste ḳhud rāsta dete haiñ manzil ke liye

    hal huī mushkil mirī yuuñ jaise mushkil na thī

    sadā mushkil-kushā ko jab bhī mushkil ke liye

    mas.ale mas.ale haiñ jis taraf bhī jā.iye

    log sanjīda nahīñ shāyad masā.il ke liye

    sab ko bairūnī ujāloñ ḳhvāhish hai yahāñ

    māñgtā koī nahīñ ab raushnī dil ke liye

    is qadar ehsās ġhurbat nahīñ hotā hameñ

    gar hamāre paas hotā kuchh bhī saa.il ke liye

    ḳhvāhishoñ ke hasratoñ ke aarzū ke dard ke

    saiñkaḌoñ mausam bane 'rāhat' mire dil ke liye

    ashk aankhon ke liye hai aur gham dil ke liye

    ek samundar ke liye hai ek sahil ke liye

    ham-safar azm-e-safar ho to safar aasan hai

    raste KHud rasta dete hain manzil ke liye

    hal hui mushkil meri yun jaise mushkil hi na thi

    di sada mushkil-kusha ko jab bhi mushkil ke liye

    masale hi masale hain jis taraf bhi jaiye

    log sanjida nahin shayad masail ke liye

    sab ko bairuni ujalon hi ki KHwahish hai yahan

    mangta koi nahin ab raushni dil ke liye

    is qadar ehsas ghurbat ka nahin hota hamein

    gar hamare pas hota kuchh bhi sail ke liye

    KHwahishon ke hasraton ke aarzu ke dard ke

    sainkaDon mausam bane 'rahat' mere dil ke liye

    Source:

    (Pg. 107)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now