aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ashk aankhon mein jigar mein dard sozish dil mein hai

Faheem Gorakhpuri

ashk aankhon mein jigar mein dard sozish dil mein hai

Faheem Gorakhpuri

MORE BYFaheem Gorakhpuri

    ashk āñkhoñ meñ jigar meñ dard sozish dil meñ hai

    ik mohabbat badaulat ghar ghar mushkil meñ hai

    jab na ye duniyā thī qaa.em hamāre dil meñ thā

    jab se ye duniyā hai qaa.em hamāre dil meñ hai

    iztirāb-e-teġh-e-maqtal meñ koī dekhe zarā

    saaf hotā hai gumāñ bijlī kaf-e-qātil meñ hai

    aaj un ke jaur ke shikve haiñ kyā kyā hashr meñ

    aaj kaisī un rusvā.ī bharī mahfil meñ hai

    naza.a meñ ai nā-murādī us rahnā gavāh

    jo mire dil tamannā thī vo mere dil meñ hai

    qatl ho kar bhī rahā qātil se qaa.em vāsta

    ruuh merī ban ke jauhar ḳhanjar-e-qātil meñ hai

    hoshiyār ai rahrav-e-rāh-e-mohabbat hoshiyār

    har qadam par jaan khaTkā tirī manzil meñ hai

    ai ḳhayāl-e-tark-e-ulfat qahr hai miT jā.egī

    ye jo ik duniyā-e-ġham ābād mere dil meñ hai

    naqs se ḳhālī nahīñ hote hasīñ bhī ai 'fahīm'

    dekh sū-e-falak dhabba mah-e-kāmil meñ hai

    ashk aankhon mein jigar mein dard sozish dil mein hai

    ek mohabbat ki badaulat ghar ka ghar mushkil mein hai

    jab na ye duniya thi qaem tu hamare dil mein tha

    jab se ye duniya hai qaem tu hamare dil mein hai

    iztirab-e-tegh-e-maqtal mein koi dekhe zara

    saf hota hai guman bijli kaf-e-qatil mein hai

    aaj un ke jaur ke shikwe hain kya kya hashr mein

    aaj kaisi un ki ruswai bhari mahfil mein hai

    naza mein ai na-muradi us ki tu rahna gawah

    jo mere dil ki tamanna thi wo mere dil mein hai

    qatl ho kar bhi raha qatil se qaem wasta

    ruh meri ban ke jauhar KHanjar-e-qatil mein hai

    hoshiyar ai rahraw-e-rah-e-mohabbat hoshiyar

    har qadam par jaan ka khaTka teri manzil mein hai

    ai KHayal-e-tark-e-ulfat qahr hai miT jaegi

    ye jo ek duniya-e-gham aabaad mere dil mein hai

    naqs se KHali nahin hote hasin bhi ai 'fahim'

    dekh tu su-e-falak dhabba mah-e-kaamil mein hai

    Source:

    Yadgar-e-Faheem (Pg. 98)

    • Author: Faheem Gorakhpuri
      • Publisher: Mirza Basheer Ahmad Beg
      • Year of Publication: 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now