Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ashk-bari nahin furqat mein sharar-bari hai

Saba Akbarabadi

ashk-bari nahin furqat mein sharar-bari hai

Saba Akbarabadi

MORE BYSaba Akbarabadi

    ashk-bārī nahīñ furqat meñ sharar-bārī hai

    aañkh meñ ḳhuun qatra hai ki chingārī hai

    har nafas ziist guzar jaane ġham taarī hai

    maut ḳhauf bhī ik ruuh bīmārī hai

    bāvajūde-ki mohabbat koī zanjīr nahīñ

    phir bhī dil ko mire ehsās-e-giraftārī hai

    kuchh is andāz se us ne ġham-e-furqat baḳhshā

    jaise ye bhī koī in.ām-e-vafādārī hai

    ġham-e-ḳhāmosh ko be-vaj.h tasallī denā

    dil-navāzī ye sūrat bhī dil-āzārī hai

    roz hālāt badalte haiñ ba-shart-e-taufīq

    ziist majmūa-e-āsānī o dushvārī hai

    jāgnā 'ishq meñ har ek taqdīr nahīñ

    niiñd qurbān ho jis par ye vo bedārī hai

    mire haath se yuuñ nazr-e-bahār us ne qubūl

    jaise ye phuul nahīñ hai koī chingārī hai

    ik taġhāful se huā 'ishq dil ko ehsās

    us ġhaflat natīja mirī hushyārī hai

    yuuñ bhī ārā.ish-e-paiham meñ ulajhtā hai koī

    ye ḳhud-ārā.ī hai dekho ki ḳhud-āzārī hai

    mātam-e-ishq se fursat nahīñ miltī hai 'sabā'

    roz-o-shab apnī umīdoñ ko azā-dārī hai

    ashk-bari nahin furqat mein sharar-bari hai

    aankh mein KHun ka qatra hai ki chingari hai

    har nafas zist guzar jaane ka gham tari hai

    maut ka KHauf bhi ek ruh ki bimari hai

    bawajude-ki mohabbat koi zanjir nahin

    phir bhi dil ko mere ehsas-e-giraftari hai

    kuchh is andaz se us ne gham-e-furqat baKHsha

    jaise ye bhi koi inam-e-wafadari hai

    gham-e-KHamosh ko be-wajh tasalli dena

    dil-nawazi ki ye surat bhi dil-azari hai

    roz haalat badalte hain ba-shart-e-taufiq

    zist majmua-e-asani o dushwari hai

    jagna 'ishq mein har ek ki taqdir nahin

    nind qurban ho jis par ye wo bedari hai

    ki mere hath se yun nazr-e-bahaar us ne qubul

    jaise ye phul nahin hai koi chingari hai

    ek taghaful se hua 'ishq ka dil ko ehsas

    us ki ghaflat ka natija meri hushyari hai

    yun bhi aaraish-e-paiham mein ulajhta hai koi

    ye KHud-arai hai dekho ki KHud-azari hai

    matam-e-ishq se fursat nahin milti hai 'saba'

    roz-o-shab apni umidon ko aza-dari hai

    Source:

    Mere Hisse Ki Roshni (Pg. 143)

    • Author: Saba Akbarabadi
      • Edition: 2007
      • Publisher: Educational Publishing House
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now