ashk palkon par aTak kar rah gae
ashk palkoñ par aTak kar rah ga.e
qāfile raste meñ thak kar rah ga.e
bujh ga.e jal jal ke aashā ke diye
raat jugnū se chamak kar rah ga.e
koī un kā pūchhne vaalā na thā
phal daraḳhtoñ par jo pak kar rah ga.e
phuul kā tohfa to pahuñchā haath meñ
ḳhaar āñkhoñ meñ khaTak kar rah ga.e
thī rasā.ī jin kī vo sūraj bane
nā-rasā zarre damak kar rah ga.e
sūkhe hoñToñ tak na pahuñchā ek bhī
jaam kitne hī chhanak kar rah ga.e
raah to sīdhī 'asīr' us ghar kī hai
log jaane kyoñ bhaTak kar rah ga.e
ashk palkon par aTak kar rah gae
qafile raste mein thak kar rah gae
bujh gae jal jal ke aasha ke diye
raat jugnu se chamak kar rah gae
koi un ka puchhne wala na tha
phal daraKHton par jo pak kar rah gae
phul ka tohfa to pahuncha hath mein
KHar aankhon mein khaTak kar rah gae
thi rasai jin ki wo suraj bane
na-rasa zarre damak kar rah gae
sukhe honTon tak na pahuncha ek bhi
jam kitne hi chhanak kar rah gae
rah to sidhi 'asir' us ghar ki hai
log jaane kyon bhaTak kar rah gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.