Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ashk palkon pe jo aaen to chhupae na bane

Mushtaq Anjum

ashk palkon pe jo aaen to chhupae na bane

Mushtaq Anjum

MORE BYMushtaq Anjum

    ashk palkoñ pe jo aa.eñ to chhupā.e na bane

    TuuT kar bikhreñ ye motī to uThā.e na bane

    qahr hai apne liye soz-e-darūñ aalam

    dekhnā gar koī chāhe to dikhā.e na bane

    kis tarah haath uThā.ūñ maiñ duā ḳhātir

    haath ik pal bhī to siine se haTā.e na bane

    qissa-e-hasrat-e-dil ham se bayāñ kyā hogā

    be-ruḳhī un hai aisī ki batā.e na bane

    zulm ko zulm samajhtā hai kahāñ vo zālim

    hāl-e-dil apnā sitamgar ko sunā.e na bane

    kaun baat thī kyā tarz-e-adā thī 'anjum'

    naqsh aisā huā dil par ki miTā.e na bane

    ashk palkon pe jo aaen to chhupae na bane

    TuT kar bikhren ye moti to uThae na bane

    qahr hai apne liye soz-e-darun ka aalam

    dekhna gar koi chahe to dikhae na bane

    kis tarah hath uThaun main dua ki KHatir

    hath ek pal bhi to sine se haTae na bane

    qissa-e-hasrat-e-dil hum se bayan kya hoga

    be-ruKHi un ki hai aisi ki batae na bane

    zulm ko zulm samajhta hai kahan wo zalim

    haal-e-dil apna sitamgar ko sunae na bane

    kaun si baat thi kya tarz-e-ada thi 'anjum'

    naqsh aisa hua dil par ki miTae na bane

    Source:

    Aasman Pahchanta Hai (Pg. B-92 E-93)

    • Author: Mushtaq Anjum
      • Edition: 2010
      • Publisher: Gulistan Publications, Kolkata
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now