ashk zaea ho rahe the dekh kar rota na tha
ashk zaa.e.a ho rahe the dekh kar rotā na thā
jis jagah bantā thā ronā maiñ udhar rotā na thā
sirf terī chup ne mere gaal giile kar diye
maiñ to vo huuñ jo kisī kī maut par rotā na thā
mujh pe kitne sānahe guzre par in āñkhoñ ko kyā
merā dukh ye hai ki merā ham-safar rotā na thā
maiñ ne us ke vasl meñ bhī hijr kaaTā hai kahīñ
vo mire kāñdhe pe rakh letā thā sar rotā na thā
pyaar to pahle bhī us se thā magar itnā nahīñ
tab maiñ us ko chhū to letā thā magar rotā na thā
girya-o-zārī ko bhī ik ḳhaas mausam chāhiye
merī āñkheñ dekh lo maiñ vaqt par rotā na thā
ashk zaea ho rahe the dekh kar rota na tha
jis jagah banta tha rona main udhar rota na tha
sirf teri chup ne mere gal gile kar diye
main to wo hun jo kisi ki maut par rota na tha
mujh pe kitne sanahe guzre par in aankhon ko kya
mera dukh ye hai ki mera ham-safar rota na tha
main ne us ke wasl mein bhi hijr kaTa hai kahin
wo mere kandhe pe rakh leta tha sar rota na tha
pyar to pahle bhi us se tha magar itna nahin
tab main us ko chhu to leta tha magar rota na tha
girya-o-zari ko bhi ek KHas mausam chahiye
meri aankhen dekh lo main waqt par rota na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.