Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

attar ke maskan mein ye kaisi udasi hai

Afroz Alam

attar ke maskan mein ye kaisi udasi hai

Afroz Alam

MORE BYAfroz Alam

    attār ke maskan meñ ye kaisī udāsī hai

    sone muqābil meñ har samt miTTī hai

    sāhab-e-qudrat hai apnā karam rakhnā

    sahrā taraf maa.il hālāt kashtī hai

    raushan hai daraḳhshāñ hai ye daur ba-zāhir to

    mazdūr ke bas meñ to bas riiḌh haDDī hai

    lamhoñ ta.āqub meñ sadiyoñ dharohar thī

    afsos ke dāman meñ ġhurbat ye bastī hai

    vo sāhab-e-masnad haiñ is se unheñ kyā matlab

    jazboñ ke darīchoñ se jaarī koī naddī hai

    har ḳhvāb shikasta hai ta.amīr-e-nasheman

    har sub.h ke māthe par bāzār garmī hai

    kuchh aur masā.il se uljhegā abhī 'ālam'

    har sāhib-e-ālam pe chhā.ī abhī mastī hai

    attar ke maskan mein ye kaisi udasi hai

    sone ki muqabil mein har samt hi miTTi hai

    tu sahab-e-qudrat hai tu apna karam rakhna

    sahra ki taraf mail haalat ki kashti hai

    raushan hai daraKHshan hai ye daur ba-zahir to

    mazdur ke bas mein to bas riDh ki haDDi hai

    lamhon ki taaqub mein sadiyon ki dharohar thi

    afsos ke daman mein ghurbat ki ye basti hai

    wo sahab-e-masnad hain is se unhen kya matlab

    jazbon ke darichon se jari koi naddi hai

    har KHwab shikasta hai tamir-e-nasheman ka

    har subh ke mathe par bazar ki garmi hai

    kuchh aur masail se uljhega abhi 'alam'

    har sahib-e-alam pe chhai abhi masti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now