Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aune-paune ghazlen bechin nazmon ka bewpar kiya

Mahmood Shaam

aune-paune ghazlen bechin nazmon ka bewpar kiya

Mahmood Shaam

MORE BYMahmood Shaam

    aune-paune ġhazleñ bechīñ nazmoñ bevpār kiyā

    dekho ham ne peT ḳhātir kyā kyā kārobār kiyā

    is bastī ke log to sab the chaltī phirtī dīvāreñ

    ham ne rañg luTātī shab se ujle dinoñ se pyaar kiyā

    zehn se ik ik kar ke terī saarī bāteñ utar ga.iiñ

    kabhī kabhī to vaqt ne ham ko aisā bhī nā-chār kiyā

    apnā-āp bhī khoyā ham ne logoñ se bhī chhūTā saath

    ik saa.e dhun ne ham ko kaise kaise ḳhaar kiyā

    saare ahd bojh thā sar par dil meñ saare jahāñ ġham

    vaqt jaltā ubaltā sahrā ham ne jis dam paar kiyā

    jāgtī galiyoñ ūñche gharoñ meñ zard añdherā nāchtā hai

    jis lamhe se ham Darte the us ne āḳhir vaar kiyā

    shaam ThanDī aahoñ meñ bhī terī ḳhushbū shāmil thī

    raat ga.e tak peḌoñ ne bhī terā zikr-azkār kiyā

    aune-paune ghazlen bechin nazmon ka bewpar kiya

    dekho hum ne peT ki KHatir kya kya karobar kiya

    is basti ke log to sab the chalti phirti diwaren

    hum ne rang luTati shab se ujle dinon se pyar kiya

    zehn se ek ek kar ke teri sari baaten utar gain

    kabhi kabhi to waqt ne hum ko aisa bhi na-chaar kiya

    apna-ap bhi khoya hum ne logon se bhi chhuTa sath

    ek sae ki dhun ne hum ko kaise kaise KHar kiya

    sare ahd ka bojh tha sar par dil mein sare jahan ka gham

    waqt ka jalta ubalta sahra hum ne jis dam par kiya

    jagti galiyon unche gharon mein zard andhera nachta hai

    jis lamhe se hum Darte the us ne aaKHir war kiya

    sham ki ThanDi aahon mein bhi teri KHushbu shamil thi

    raat gae tak peDon ne bhi tera zikr-azkar kiya

    Source:

    chera chera mery kahani (Pg. 53)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now