aur gulon ka kaam nahin hota koi
aur guloñ kā kaam nahīñ hotā koī
ḳhushbū kā in.aam nahīñ hotā koī
thak gayā ek kahānī sunte sunte maiñ
kyā is kā anjām nahīñ hotā koī
sahrāoñ meñ ḳhaak uḌātā phirtā huuñ
is ke alāva kaam nahīñ hotā koī
dekho to kyā ḳhush rahte haiñ dil vaale
pūchho to ārām nahīñ hotā koī
chaTTāneñ bas saḳht huā kartī haiñ 'zeb'
chaTTānoñ kā naam nahīñ hotā koī
aur gulon ka kaam nahin hota koi
KHushbu ka inam nahin hota koi
thak gaya ek kahani sunte sunte main
kya is ka anjam nahin hota koi
sahraon mein KHak uData phirta hun
is ke alawa kaam nahin hota koi
dekho to kya KHush rahte hain dil wale
puchho to aaram nahin hota koi
chaTTanen bas saKHt hua karti hain 'zeb'
chaTTanon ka nam nahin hota koi
- Book : zartaab (Pg. 80)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.