auron ki nazm apni batate hain dekhiye
auroñ kī nazm apnī batāte haiñ dekhiye
merī ġhazal mujhī ko sunāte haiñ dekhiye
be-sharm is qadar haiñ vo mere hī sāmne
maqta' meñ apnā naam lagāte haiñ dekhiye
'rāhat' ke she'r hoñ yā 'munavvar' kī ho ġhazal
haq har kalām par hī jatāte haiñ dekhiye
un ko lihāz hai nahīñ taqtī’ kā magar
misre ke bahr-o-vazn batāte haiñ dekhiye
kahne lage haiñ ḳhud ko vo ustād āj-kal
'shambhū' ko apnā chelā batāte haiñ dekhiye
auron ki nazm apni batate hain dekhiye
meri ghazal mujhi ko sunate hain dekhiye
be-sharm is qadar hain wo mere hi samne
maqta' mein apna nam lagate hain dekhiye
'rahat' ke she'r hon ya 'munawwar' ki ho ghazal
haq har kalam par hi jatate hain dekhiye
un ko lihaz hai nahin taqti’ ka magar
misre ke bahr-o-wazn batate hain dekhiye
kahne lage hain KHud ko wo ustad aaj-kal
'shambhu' ko apna chela batate hain dekhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.