Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

auron ki pyas aur hai aur uski pyas aur

Charagh Sharma

auron ki pyas aur hai aur uski pyas aur

Charagh Sharma

MORE BYCharagh Sharma

    auroñ pyaas aur hai aur us pyaas aur

    kahtā hai har gilās pe bas ik gilās aur

    ḳhud ko ka.ī baras se ye samjhā rahe haiñ ham

    kaaTī hai itnī umr to do-chār maas aur

    pahle kam hasīn kahāñ thā tumhārā ġham

    pahnā diyā hai us ko ġhazal libās aur

    Takrā rahī hai saañs mirī us saañs se

    dil phir bhī de rahā hai sadā aur paas aur

    allāh us lahja-e-shīrīñ ki kyā kahūñ

    vallāh us pe urdu zabāñ miThās aur

    bāñdhā hai ab naqāb to phir kas ke bāñdh le

    ik ghūñT ke ye na ho baḌh jaa.e pyaas aur

    'ġhālib' hayāt hote to karte ye e'tirāf

    daur-e-'charāġh' meñ hai ġhazal class aur

    auron ki pyas aur hai aur us ki pyas aur

    kahta hai har gilas pe bas ek gilas aur

    KHud ko kai baras se ye samjha rahe hain hum

    kaTi hai itni umr to do-chaar mas aur

    pahle hi kam hasin kahan tha tumhaara gham

    pahna diya hai us ko ghazal ka libas aur

    Takra rahi hai sans meri us ki sans se

    dil phir bhi de raha hai sada aur pas aur

    allah us ka lahja-e-shirin ki kya kahun

    wallah us pe urdu zaban ki miThas aur

    bandha hai ab naqab to phir kas ke bandh le

    ek ghunT pi ke ye na ho baDh jae pyas aur

    'ghaalib' hayat hote to karte ye e'tiraf

    daur-e-'charagh' mein hai ghazal ka class aur

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now