awwal sin dil mera jo giraftar tha so hai
avval siiñ dil mirā jo giraftār thā so hai
mere gale meñ ishq kā zunnār thā so hai
ai shāh-e-husn mujh kuuñ tumhārī janāb meñ
muddat siiñ bandagī kā jo iqrār thā so hai
ma.alūm yuuñ huā ki nasīboñ meñ nahīñ shifā
shamshīr-e-ġham kā vaar jigar paar thā so hai
jiyūñ ġhuncha sair-e-bāġh siiñ hotā huuñ tañg-dil
tujh bin mirī nigāh meñ gul ḳhaar thā so hai
sozan misāl aañkh meñ siltī hai har palak
terī birah kā ḳhaar dil-āzār thā so hai
ab lag ġham-e-firāq judā.ī kī raat meñ
yaaro rafīq-o-mūnis-o-ġham-ḳhvār thā so hai
mat buujh soz-e-ishq siiñ fāriġh sirāj kuuñ
parvāna-vār jaan siiñ balhār thā so hai
awwal sin dil mera jo giraftar tha so hai
mere gale mein ishq ka zunnar tha so hai
ai shah-e-husn mujh kun tumhaari janab mein
muddat sin bandagi ka jo iqrar tha so hai
malum yun hua ki nasibon mein nahin shifa
shamshir-e-gham ka war jigar par tha so hai
jiyun ghuncha sair-e-bagh sin hota hun tang-dil
tujh bin meri nigah mein gul KHar tha so hai
sozan misal aankh mein silti hai har palak
teri birah ka KHar dil-azar tha so hai
ab lag gham-e-firaq judai ki raat mein
yaro rafiq-o-munis-o-gham-KHwar tha so hai
mat bujh soz-e-ishq sin farigh siraj kun
parwana-war jaan sin balhaar tha so hai
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 590)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.