Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ayan hum par na hone ki KHushi hone lagi hai

Pirzada Qasim

ayan hum par na hone ki KHushi hone lagi hai

Pirzada Qasim

MORE BYPirzada Qasim

    ayaañ ham par na hone ḳhushī hone lagī hai

    diye meñ ik na.ī raushnī hone lagī hai

    na.ī kuchh hasrateñ dil meñ baserā kar rahī haiñ

    bahut ābād ab dil galī hone lagī hai

    so tai paayā masā.ib zindagī ke kam na hoñge

    magar kam zindagī se zindagī hone lagī hai

    udhar tār-e-nafas se aa milī hai raunaq-e-zīst

    idhar kam mohlatī meñ bhī kamī hone lagī hai

    sar-e-āġhāz dil dāstāñ meñ vo nahīñ thā

    magar mahsūs ab us kamī hone lagī hai

    hamārī dostī dam bhareñ aise kahāñ haiñ

    zamāne sab se terī dostī hone lagī hai

    ayan hum par na hone ki KHushi hone lagi hai

    diye mein ek nai si raushni hone lagi hai

    nai kuchh hasraten dil mein basera kar rahi hain

    bahut aabaad ab dil ki gali hone lagi hai

    so tai paya masaib zindagi ke kam na honge

    magar kam zindagi se zindagi hone lagi hai

    udhar tar-e-nafas se aa mili hai raunaq-e-zist

    idhar kam mohlati mein bhi kami hone lagi hai

    sar-e-aghaz dil ki dastan mein wo nahin tha

    magar mahsus ab us ki kami hone lagi hai

    hamari dosti ka dam bharen aise kahan hain

    zamane sab se teri dosti hone lagi hai

    RECITATIONS

    Pirzada Qasim

    Pirzada Qasim,

    Pirzada Qasim

    ayan hum par na hone ki KHushi hone lagi hai Pirzada Qasim

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now