azab-e-zindagi jab bhi raqam nahin hota
'azāb-e-zindagī jab bhī raqam nahīñ hotā
vo lamha maut se bilkul bhī kam nahīñ hotā
hamāre haath kisī ko dikhā.ī kaise deñ
hamāre haath meñ koī 'alam nahīñ hotā
bahut se log haiñ jin se nahīñ milā huuñ maiñ
zarā bhī un se na milne kā ġham nahīñ hotā
hamārī baat kā un par koī javāb nahīñ
hamārā sar bhī to un se qalam nahīñ hotā
hazār us ne sitam ham pe jab kiye to khulā
ki ab to ham se bhī koī karam nahīñ hotā
'azab-e-zindagi jab bhi raqam nahin hota
wo lamha maut se bilkul bhi kam nahin hota
hamare hath kisi ko dikhai kaise den
hamare hath mein koi 'alam nahin hota
bahut se log hain jin se nahin mila hun main
zara bhi un se na milne ka gham nahin hota
hamari baat ka un par koi jawab nahin
hamara sar bhi to un se qalam nahin hota
hazar us ne sitam hum pe jab kiye to khula
ki ab to hum se bhi koi karam nahin hota
- Book : Udaas Logon Ka Hona Bahut Zaruri Hai (Pg. 93)
- Author : Tarkash Pradeep
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.