Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

azal kya ibtida husn-o-mohabbat ke tarane ki

Bekhud Mohani

azal kya ibtida husn-o-mohabbat ke tarane ki

Bekhud Mohani

MORE BYBekhud Mohani

    azal kyā ibtidā husn-o-mohabbat ke tarāne

    abad kyā sirf ik badlī huī surḳhī fasāne

    taḌaptī bijliyāñ phir ḳhāna-barbādī ke darpai haiñ

    qafas ḳhair yārab ho chukī ḳhair āshiyāne

    hamārī zindagī bhī ek fursat thī magar kitnī

    faqat rang-e-tamannā ke chaḌhāne uḌāne

    qafas ik taar hai tan ek miTTī gharauñdā hai

    haqīqat qaid ye hai ye hastī qaid-ḳhāne

    vo āñkheñ dekh kar maiñ kyā zamāna kahne lagtā hai

    ki un meñ hai jise kahte haiñ sab gardish zamāne

    hamārī zindagī bad-mastiyoñ daur thī 'beḳhud'

    idhar ho kar nahīñ niklī tamanna hosh aane

    azal kya ibtida husn-o-mohabbat ke tarane ki

    abad kya sirf ek badli hui surKHi fasane ki

    taDapti bijliyan phir KHana-barbaadi ke darpai hain

    qafas ki KHair yarab ho chuki KHair aashiyane ki

    hamari zindagi bhi ek fursat thi magar kitni

    faqat rang-e-tamanna ke chaDhane ya uDane ki

    qafas ek tar hai tan ek miTTi ka gharaunda hai

    haqiqat qaid ki ye hai ye hasti qaid-KHane ki

    wo aankhen dekh kar main kya zamana kahne lagta hai

    ki un mein hai jise kahte hain sab gardish zamane ki

    hamari zindagi bad-mastiyon ka daur thi 'beKHud'

    idhar ho kar nahin nikli tamanna hosh aane ki

    Source:

    Intikhab-e-Kalam-e-Bekhud Mohani (Pg. 103)

    • Author: Bekhud Mohani
      • Publisher: Uttar Pradesh Urdu Academy, Lucknow
      • Year of Publication: 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now