Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

azal se naz-parwar hun KHiram-e-naz-parwar ka

Taufeeq Hyderabadi

azal se naz-parwar hun KHiram-e-naz-parwar ka

Taufeeq Hyderabadi

MORE BYTaufeeq Hyderabadi

    azal se nāz-parvar huuñ ḳhirām-e-nāz-parvar

    mirī hastī bharā kartī hai dam āshob-e-mahshar

    kiyā hai aaj va.ada kis ne aane ḳhudā jaane

    nazar aatā hai chashm-e-shauq darvāza mire ghar

    liye phirtā hai saath apne ġhubār-e-ḳhāk sūrat

    mire siine meñ har josh-e-nafas jhoñkā hai sarsar

    sahar ke saath hogā chaak merā dāman-e-hastī

    ba-rang-e-sham.a bazm-e-dahr meñ mehmāñ huuñ shab bhar

    banā.ī ek donoñ sūrat kāhish-e-ġham ne

    gumāñ hotā hai tār-e-pairahan par jism-e-lāġhar

    diyā mayyat ko merī ġhusl āb-e-girya ne mere

    huā ehsān bhī mujh par to apne dīda-e-tar

    ḳhayāl-e-ahl-e-duniyā aa sake 'taufīq' kyā dil meñ

    nahīñ ye aa.ina muhtāj tasvīr-e-sikandar

    azal se naz-parwar hun KHiram-e-naz-parwar ka

    meri hasti bhara karti hai dam aashob-e-mahshar ka

    kiya hai aaj wada kis ne aane ka KHuda jaane

    nazar aata hai chashm-e-shauq darwaza mere ghar ka

    liye phirta hai sath apne ghubar-e-KHak ki surat

    mere sine mein har josh-e-nafas jhonka hai sarsar ka

    sahar ke sath hoga chaak mera daman-e-hasti

    ba-rang-e-shama bazm-e-dahr mein mehman hun shab bhar ka

    banai ek hi donon ki surat kahish-e-gham ne

    guman hota hai tar-e-pairahan par jism-e-laghar ka

    diya mayyat ko meri ghusl aab-e-girya ne mere

    hua ehsan bhi mujh par to apne dida-e-tar ka

    KHayal-e-ahl-e-duniya aa sake 'taufiq' kya dil mein

    nahin ye aaina muhtaj taswir-e-sikandar ka

    Source:

    Taufeeq Hyderabadi Hayat Aur Shayeri (Pg. 149)

    • Author: Syed Musa Kazim
      • Publisher: Dairah Press Chatta Bazar
      • Year of Publication: 1974
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now