Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ba-asani kahin shadan dil-e-nashad hota hai

Qaisar Haideri Dehlvi

ba-asani kahin shadan dil-e-nashad hota hai

Qaisar Haideri Dehlvi

MORE BYQaisar Haideri Dehlvi

    ba-āsānī kahīñ shādāñ dil-e-nāshād hotā hai

    baḌī barbādiyoñ kai ba.ad ye ābād hotā hai

    Thahar ai gardish-e-daurāñ vo lab jumbish meñ aate haiñ

    sarāpā gosh ho kar sun ki kyā irshād hotā hai

    dar-e-sāqī se āzād-e-do-ālam uTh nahīñ saktā

    quyūd-e-maz.hab-o-millat se riñd āzād hotā hai

    guzishta hāl-e-ulfat kyā sunoge kyā sunā.ūñgā

    ye qissa kuchh kahīñ se kuchh kahīñ se yaad hotā hai

    payām-e-sad-musībat jāntā huuñ ik tabassum ko

    laraz jaatā huuñ jis din ḳhush dil-e-nāshād hotā hai

    qafas titliyoñ uTho gale mil lo lipaT jaao

    ki qaid-e-zindagī se ik asiir āzād hotā hai

    kahāñ pahlī 'qaisar' rasm-e-shāgirdī-o-ustādī

    jo ik misra.a bhī kah letā hai ab ustād hotā hai

    ba-asani kahin shadan dil-e-nashad hota hai

    baDi barbaadiyon kai baad ye aabaad hota hai

    Thahar ai gardish-e-dauran wo lab jumbish mein aate hain

    sarapa gosh ho kar sun ki kya irshad hota hai

    dar-e-saqi se aazad-e-do-alam uTh nahin sakta

    quyud-e-mazhab-o-millat se rind aazad hota hai

    guzishta haal-e-ulfat kya sunoge kya sunaunga

    ye qissa kuchh kahin se kuchh kahin se yaad hota hai

    payam-e-sad-musibat jaanta hun ek tabassum ko

    laraz jata hun jis din KHush dil-e-nashad hota hai

    qafas ki titliyon uTho gale mil lo lipaT jao

    ki qaid-e-zindagi se ek asir aazad hota hai

    kahan pahli si 'qaisar' rasm-e-shagirdi-o-ustadi

    jo ek misra bhi kah leta hai ab ustad hota hai

    Source:

    Khat-e-Ghubar (Pg. 60)

    • Author: Qaisar Haideri Dehlvi
      • Publisher: All India Meer Academy, Lucknow
      • Year of Publication: 1985
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now