ba-rang-e-jaun hi nikhri ghuTan aahista aahista
ba-rang-e-'jaun' hī nikhrī ghuTan āhista āhista
nazar aane lagā bām-e-suḳhan āhista āhista
vo kahtī thī mohabbat vahm hai ḳhālī dimāġhoñ kā
use lagtā thā bhar jā.egā man āhista āhista
ḳhalal le aa.ī āḳhir 'ishq meñ ye sahl-angārī
badalne lag ga.e us ke chalan āhista āhista
mire hoñToñ se us kā naam kyā niklā ġhazal niklī
ki jaise chal paḌe koī hiran āhista āhista
bahut se log āvāzeñ lagāne se nahīñ rukte
kafan ho jaatā hai har pairahan āhista āhista
phir ik din aa.egā maiñ hijr ko taslīm kar lūñgā
badal jā.egā miTTī meñ badan āhista āhista
ba-rang-e-'jaun' hi nikhri ghuTan aahista aahista
nazar aane laga baam-e-suKHan aahista aahista
wo kahti thi mohabbat wahm hai KHali dimaghon ka
use lagta tha bhar jaega man aahista aahista
KHalal le aai aaKHir 'ishq mein ye sahl-angari
badalne lag gae us ke chalan aahista aahista
mere honTon se us ka nam kya nikla ghazal nikli
ki jaise chal paDe koi hiran aahista aahista
bahut se log aawazen lagane se nahin rukte
kafan ho jata hai har pairahan aahista aahista
phir ek din aaega main hijr ko taslim kar lunga
badal jaega miTTi mein badan aahista aahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.