Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ba-shakl-e-shabnam Tapak ke har gul pe husn-e-gul ka nikhaar ho ja

Syed Muzaffar Aalam Ziya Azeemabadi

ba-shakl-e-shabnam Tapak ke har gul pe husn-e-gul ka nikhaar ho ja

Syed Muzaffar Aalam Ziya Azeemabadi

MORE BYSyed Muzaffar Aalam Ziya Azeemabadi

    ba-shakl-e-shabnam Tapak ke har gul pe husn-e-gul nikhār ho

    gul-e-mohabbat justujū meñ kalī kalī par nisār ho

    sabā sūrat chaman pe chhā naved-e-sub.h-e-bahār ho

    chaman meñ har shāḳh-e-gul zīnat har ik kalī siñgār ho

    guloñ ke narm o latīf hoñToñ pa muskurāhaT ke rang bhar de

    bahā ke ḳhūn-e-jigar ko apne chaman meñ lāla-zār ho

    na ban sakā gar naved-e-ishrat to kuchh to hāsil ho zindagī

    fasurda hoñToñ thartharāhaT dukhī diloñ pukār ho

    'ziyā' javānī hai chaar din bitā de us ko bhī mai-kashī meñ

    ye zohd-o-taqvā Dhoñg kaisā le jaam le bāda-ḳhvār ho

    ba-shakl-e-shabnam Tapak ke har gul pe husn-e-gul ka nikhaar ho ja

    gul-e-mohabbat ki justuju mein kali kali par nisar ho ja

    saba ki surat chaman pe chha ja nawed-e-subh-e-bahaar ho ja

    chaman mein har shaKH-e-gul ki zinat har ek kali ka singar ho ja

    gulon ke narm o latif honTon pa muskurahaT ke rang bhar de

    baha ke KHun-e-jigar ko apne chaman mein tu lala-zar ho ja

    na ban saka gar nawed-e-ishrat to kuchh to hasil ho zindagi ka

    fasurda honTon ki thartharahaT dukhi dilon ki pukar ho ja

    'ziya' jawani hai chaar din ki bita de us ko bhi mai-kashi mein

    ye zohd-o-taqwa ka Dhong kaisa le jam le baada-KHwar ho ja

    Source:

    Kasak (Pg. 20)

    • Author: Syed Muzaffar Aalam Ziya Azeemabadi
      • Publisher: Saima Publication, Patna
      • Year of Publication: 2019
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now