Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baad tere kya bataen aur kya chalta raha

Anaam Damohi

baad tere kya bataen aur kya chalta raha

Anaam Damohi

MORE BYAnaam Damohi

    baa'd tere kyā batā.eñ aur kyā chaltā rahā

    zindagī-bhar zindagī mas.ala chaltā rahā

    rāt-bhar baiThā rahā maiñ rū-ba-rū-e-māhtāb

    aur us se tazkira bas aap chaltā rahā

    ḳhvāb meñ aatī na thiiñ shahzādiyāñ un ke kabhī

    muflisoñ ke ḳhvāb meñ bhī fāsla chaltā rahā

    mārte haiñ bastiyoñ ke log patthar qais ko

    yā'nī sahrā safar achchhā-bhalā chaltā rahā

    lams ko tere kabhī maiñ bhuul paayā nahīñ

    saath mere 'umr-bhar ik hādisa chaltā rahā

    shāḳh-e-dil se jhaḌ chukī thī 'ishq har ik kalī

    rishta apne darmiyāñ bas naam chaltā rahā

    maiñ to bas taktā rahā un ke lab-o-ruḳhsār ko

    un ke dil meñ ab ḳhudā jaane ki kyā chaltā rahā

    'umr-bhar pinhāñ rahā qalb-o-jigar meñ terā ġham

    'umr-bhar ḳhushiyoñ se merā fāsla chaltā rahā

    is liye 'in'ām' manzil tak na paa.e qadam

    ek saaya saath mere ḳhauf chaltā rahā

    ba'd tere kya bataen aur kya chalta raha

    zindagi-bhar zindagi ka masala chalta raha

    raat-bhar baiTha raha main ru-ba-ru-e-mahtab

    aur us se tazkira bas aap ka chalta raha

    KHwab mein aati na thin shahzadiyan un ke kabhi

    muflison ke KHwab mein bhi fasla chalta raha

    marte hain bastiyon ke log patthar qais ko

    ya'ni sahra ka safar achchha-bhala chalta raha

    lams ko tere kabhi main bhul hi paya nahin

    sath mere 'umr-bhar ek hadisa chalta raha

    shaKH-e-dil se jhaD chuki thi 'ishq ki har ek kali

    rishta apne darmiyan bas nam ka chalta raha

    main to bas takta raha un ke lab-o-ruKHsar ko

    un ke dil mein ab KHuda jaane ki kya chalta raha

    'umr-bhar pinhan raha qalb-o-jigar mein tera gham

    'umr-bhar KHushiyon se mera fasla chalta raha

    is liye 'in'am' manzil tak na ja pae qadam

    ek saya sath mere KHauf ka chalta raha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now