aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ba-hosh wahi hain diwane ulfat mein jo aisa karte hain

Fana bulandshahri

ba-hosh wahi hain diwane ulfat mein jo aisa karte hain

Fana bulandshahri

MORE BYFana bulandshahri

    bā-hosh vahī haiñ dīvāne ulfat meñ jo aisā karte haiñ

    har vaqt unhī ke jalvoñ se īmān saudā karte haiñ

    ham ahl-e-junūñ meñ bas yahī me.arāj-e-ibādat hai apnī

    miltā hai jab un naqsh-e-qadam ham shukr sajda karte haiñ

    milte haiñ nazar hosh uḌte haiñ mastī bhī barasne lagtī hai

    ma.alūm nahīñ vo kaun mai āñkhoñ se pilāyā karte haiñ

    paate haiñ vahī maqsūd-e-nazar miltī hai unheñ manzil un

    jo un tamannā meñ har dam ḳhud apnī tamannā karte haiñ

    hai shauq yahī mastānoñ ko hai sharm yahī dīvānoñ ko

    siine se lagā kar yaad us us shoḳh puujā karte haiñ

    māyūs na ho nādān na ban dil soz-e-alam se jalne de

    jo chāhne vaale haiñ un ke vo aag se khelā karte haiñ

    ham kis ke hue dil kis ne liyā vo kaun hai kyā hai kyā kahiye

    ye raaz abhī tak khul na sakā ham kis tamannā karte haiñ

    maiḳhāna-e-hastī meñ ham ne ye rañg nayā dekhā saaqī

    jin bāda-kashoñ ko hosh nahīñ vo hosh da.avā karte haiñ

    ye kaisī jafā.eñ hotī haiñ ye kaisī adā hai un 'fanā'

    ham husn parda rakhte haiñ vo ishq da.avā karte haiñ

    ba-hosh wahi hain diwane ulfat mein jo aisa karte hain

    har waqt unhi ke jalwon se iman ka sauda karte hain

    hum ahl-e-junun mein bas yahi mearaj-e-ibaadat hai apni

    milta hai jab un ka naqsh-e-qadam hum shukr ka sajda karte hain

    milte hain nazar hosh uDte hain masti bhi barasne lagti hai

    malum nahin wo kaun si mai aankhon se pilaya karte hain

    pate hain wahi maqsud-e-nazar milti hai unhen manzil un ki

    jo un ki tamanna mein har dam KHud apni tamanna karte hain

    hai shauq yahi mastanon ko hai sharm yahi diwanon ko

    sine se laga kar yaad us ki us shoKH ki puja karte hain

    mayus na ho nadan na ban dil soz-e-alam se jalne de

    jo chahne wale hain un ke wo aag se khela karte hain

    hum kis ke hue dil kis ne liya wo kaun hai kya hai kya kahiye

    ye raaz abhi tak khul na saka hum kis ki tamanna karte hain

    maiKHana-e-hasti mein hum ne ye rang naya dekha saqi

    jin baada-kashon ko hosh nahin wo hosh ka dawa karte hain

    ye kaisi jafaen hoti hain ye kaisi ada hai un ki 'fana'

    hum husn ka parda rakhte hain wo ishq ka dawa karte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now