Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bab-e-rahmat pe dua girya-kunan ho jaise

Daem Gawwasi

bab-e-rahmat pe dua girya-kunan ho jaise

Daem Gawwasi

MORE BYDaem Gawwasi

    bāb-e-rahmat pe duā girya-kunāñ ho jaise

    gum-shuda beTe muztar koī maañ ho jaise

    us mumtāz rūdād-e-mohabbat likh duuñ

    aise kahtā hai koī shāh-jahāñ ho jaise

    guftugū meñ vo halāvat vo amal meñ iḳhlās

    us hastī pe farishte gumāñ ho jaise

    us duzdīda-nigāhī ke haiñ sab ghāyal

    koī sayyād liye tīr-o-kamāñ ho jaise

    mujh ko urdu-e-muallā nahīñ aatī ab tak

    tujh ko ye zo.am tire ghar zabāñ ho jaise

    ham ko rakhtī hai nishāne pe siyāsat un

    ghar jalāne pe ba-zid barq-e-tapāñ ho jaise

    us ke aate sanam-ḳhānoñ ke but bol uThe

    mashriqoñ meñ koī ejāz-e-bayāñ ho jaise

    yuuñ tirī zulf ḳhushbū hai sar-e-shām uḌī

    kashtī-e-fikr yam-e-fan meñ ravāñ ho jaise

    tere ash.ār utar aate haiñ 'dā.em' dil meñ

    haq-parastoñ ke liye saut-e-azāñ ho jaise

    bab-e-rahmat pe dua girya-kunan ho jaise

    gum-shuda beTe ki muztar koi man ho jaise

    us ki mumtaz ki rudad-e-mohabbat likh dun

    aise kahta hai koi shah-jahan ho jaise

    guftugu mein wo halawat wo amal mein iKHlas

    us ki hasti pe farishte ka guman ho jaise

    us ki duzdida-nigahi ke hain sab hi ghayal

    koi sayyaad liye tir-o-kaman ho jaise

    mujh ko urdu-e-mualla nahin aati ab tak

    tujh ko ye zoam tere ghar ki zaban ho jaise

    hum ko rakhti hai nishane pe siyasat un ki

    ghar jalane pe ba-zid barq-e-tapan ho jaise

    us ke aate hi sanam-KHanon ke but bol uThe

    mashriqon mein koi ejaz-e-bayan ho jaise

    yun teri zulf ki KHushbu hai sar-e-sham uDi

    kashti-e-fikr yam-e-fan mein rawan ho jaise

    tere ashaar utar aate hain 'daem' dil mein

    haq-paraston ke liye saut-e-azan ho jaise

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now