Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baad muddat mile kuchh kaha na suna bhar gae zaKHm purwaiyan so gain

Ateeq Anzar

baad muddat mile kuchh kaha na suna bhar gae zaKHm purwaiyan so gain

Ateeq Anzar

MORE BYAteeq Anzar

    ba.ad muddat mile kuchh kahā na sunā bhar ga.e zaḳhm purvā.iyāñ so ga.iiñ

    kañghī kartī huī reshmī zulf meñ merī betāb uñgliyāñ so ga.iiñ

    aaj alhaḌ pujāran vo aa.ī nahīñ dil ke mandir meñ ghanTī bajā.ī nahīñ

    aas ke sab diye TimTimāne lage mere jazbāt ghanTiyāñ so ga.iiñ

    ab fazāoñ meñ ḳhushbū mahaktī nahīñ ab vo pāgal havā.eñ thiraktī nahīñ

    ek to kar ga.ī kyā akelā mujhe lahlahātī huī vādiyāñ so ga.iiñ

    us ke hāthoñ meñ chūḌī khanaktī nahīñ us ke pairoñ meñ paa.el jhanaktī nahīñ

    chhoḌ maiñ ne jab se galī pyaar us ke kānoñ bhī bāliyāñ so ga.iiñ

    ik nadī ke kināre base gaañv meñ guzrā bachpan mirā chāñd chhāñv meñ

    ham baḌe jab hue ajnabī ho ga.e dil ke mandir sab deviyāñ so ga.iiñ

    ghaaT dil mire aaj sunsān hai koī gopī nahāne ab aatī nahīñ

    merī murlī dhun ab larazne lagī mere madhūban sab gopiyāñ so ga.iiñ

    aam ke peḌ shādāb haiñ aaj bhī baurte aur phalte bhī haiñ vo magar

    ab vo jhūle kahāñ ab vo kajrī kahāñ vo lachaktī huī Dāliyāñ so ga.iiñ

    baad muddat mile kuchh kaha na suna bhar gae zaKHm purwaiyan so gain

    kanghi karti hui reshmi zulf mein meri betab si ungliyan so gain

    aaj alhaD pujaran wo aai nahin dil ke mandir mein ghanTi bajai nahin

    aas ke sab diye TimTimane lage mere jazbaat ki ghanTiyan so gain

    ab fazaon mein KHushbu mahakti nahin ab wo pagal hawaen thirakti nahin

    ek to kar gai kya akela mujhe lahlahati hui wadiyan so gain

    us ke hathon mein chuDi khanakti nahin us ke pairon mein pael jhanakti nahin

    chhoD di main ne jab se gali pyar ki us ke kanon ki bhi baaliyan so gain

    ek nadi ke kinare base ganw mein guzra bachpan mera chand ki chhanw mein

    hum baDe jab hue ajnabi ho gae dil ke mandir ki sab dewiyan so gain

    ghaT dil ka mere aaj sunsan hai koi gopi nahane ab aati nahin

    meri murli ki dhun ab larazne lagi mere madhuban ki sab gopiyan so gain

    aam ke peD shadab hain aaj bhi baurte aur phalte bhi hain wo magar

    ab wo jhule kahan ab wo kajri kahan wo lachakti hui Daliyan so gain

    Source:

    Pehchan (Pg. 22)

    • Author: Ateeq Anzar
      • Edition: 1994
      • Publisher: Nai Awaz Jamia Nagar New Delhi
      • Year of Publication: 1994
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now