bagh ke hain na sarab ke hain
baaġh ke haiñ na sarāb ke haiñ
ham sab kis ke ḳhvāb ke haiñ
miTTī chehroñ par ye zaḳhm
maare hue ham aab ke haiñ
terī ḳhātir kiye ga.e
kyā sab gunah savāb ke haiñ
ḳhuun bahāte hue ye lafz
sach meñ tirī kitāb ke haiñ
sahrāoñ sā badan liye
log ye chashm-e-pur-āb ke haiñ
insānoñ ke saare sukh
'sānī' ek 'azāb ke haiñ
bagh ke hain na sarab ke hain
hum sab kis ke KHwab ke hain
miTTi chehron par ye zaKHm
mare hue hum aab ke hain
teri KHatir kiye gae
kya sab gunah sawab ke hain
KHun bahate hue ye lafz
sach mein teri kitab ke hain
sahraon sa badan liye
log ye chashm-e-pur-ab ke hain
insanon ke sare sukh
'sani' ek 'azab ke hain
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 112)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.