Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bagh mein phulon ko raund aai sawari aap ki

Taashshuq Lakhnavi

bagh mein phulon ko raund aai sawari aap ki

Taashshuq Lakhnavi

MORE BYTaashshuq Lakhnavi

    baaġh meñ phūloñ ko rauñd aa.ī savārī aap

    kis qadar mamnūn hai bād-e-bahārī aap

    bevafā.ī aap ġhaflat-shi.ārī aap

    mere dil ne ādateñ sīkhī haiñ saarī aap

    hai yaqīñ bāham gale milne ko uTTheñ dast-e-shauq

    ho agar tasvīr bhī yakjā hamārī aap

    mai-kade meñ TuuTe jaate haiñ baham laḌ laḌ ke jaam

    mufsida-pardāz hai chashm-e-ḳhumārī aap

    jazb ise kahte haiñ aa.e kahne merī qabr tak

    ab yahāñ se baḌh nahīñ saktī savārī aap

    kartī haiñ andher hāthoñ ye kaalī mailiyāñ

    qātil-e-ālam huī hai sogvārī aap

    jā-ba-jā hote haiñ dāman-gīr dil ushshāq ke

    har qadam par aaj ruktī hai savārī aap

    yād-e-ayyāme ki thā zoroñ pe jazb-e-husn-o-ishq

    vo mire dil taḌapnā be-qarārī aap

    hai shab-e-mahtāb gore rañg se kapḌe siyāh

    husn ko chamkā rahī hai sogvārī aap

    do tarah ke ek sāġhar meñ labālab hai sharāb

    ḳhvāb-ālūda nahīñ chashm-e-ḳhumārī aap

    mere lāshe ko liye phirte haiñ un rāhoñ meñ log

    jin galī-kūchoñ meñ phirtī thī savārī aap

    aaj kis par rahm aayā kis ko ro.e haiñ huzūr

    hai nasīb-e-dushmanāñ āvāz bhārī aap

    ahd meñ majnūñ ke lailā rahā kyā daur daur

    ab 'ta.ashshuq' ke zamāne meñ hai baarī aap

    bagh mein phulon ko raund aai sawari aap ki

    kis qadar mamnun hai baad-e-bahaari aap ki

    bewafai aap ki ghaflat-shiari aap ki

    mere dil ne aadaten sikhi hain sari aap ki

    hai yaqin baham gale milne ko uTThen dast-e-shauq

    ho agar taswir bhi yakja hamari aap ki

    mai-kade mein TuTe jate hain baham laD laD ke jam

    mufsida-pardaz hai chashm-e-KHumari aap ki

    jazb ise kahte hain aae kahne meri qabr tak

    ab yahan se baDh nahin sakti sawari aap ki

    karti hain andher hathon ki ye kali mailiyan

    qatil-e-alam hui hai sogwari aap ki

    ja-ba-ja hote hain daman-gir dil ushshaq ke

    har qadam par aaj rukti hai sawari aap ki

    yaad-e-ayyame ki tha zoron pe jazb-e-husn-o-ishq

    wo mere dil ka taDapna be-qarari aap ki

    hai shab-e-mahtab gore rang se kapDe siyah

    husn ko chamka rahi hai sogwari aap ki

    do tarah ke ek saghar mein labaalab hai sharab

    KHwab-aluda nahin chashm-e-KHumari aap ki

    mere lashe ko liye phirte hain un rahon mein log

    jin gali-kuchon mein phirti thi sawari aap ki

    aaj kis par rahm aaya kis ko roe hain huzur

    hai nasib-e-dushmanan aawaz bhaari aap ki

    ahd mein majnun ke laila ka raha kya daur daur

    ab 'tashshuq' ke zamane mein hai bari aap ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now