Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bagh-o-bustan hue viran ki ji jaanta hai

Syed Amin Ashraf

bagh-o-bustan hue viran ki ji jaanta hai

Syed Amin Ashraf

MORE BYSyed Amin Ashraf

    bāġh-o-bustāñ hue vīrān ki jāntā hai

    sar-e-duniyā hai vo tūfān ki jāntā hai

    aur kyā us ke sivā hāsil rūdād-e-jahāñ

    ḳhāk-o-ḳhūñ dast-o-garebān ki jāntā hai

    roz-e-mahshar to na thā shām-e-mulāqāt thī vo

    yuuñ hue be-sar-o-sāmān ki jāntā hai

    māh-timsāl thā ḳhanjar-e-uryāñ koī

    yuuñ hai paivast-e-rag-e-jān ki jāntā hai

    dard hotā to sar-e-shām sambhal bhī jaatā

    dil hai vo lashkar-e-armān ki jāntā hai

    be-sukūnī talab hai nasha-e-qulzum-e-jāñ

    aab hai tishna-e-haijān ki jāntā hai

    tai kahāñ hotī hai rāh-e-safar-e-nā-ma.alūm

    ġham hai yuuñ dīda-e-hairān ki jāntā hai

    bagh-o-bustan hue viran ki ji jaanta hai

    sar-e-duniya hai wo tufan ki ji jaanta hai

    aur kya us ke siwa hasil rudad-e-jahan

    KHak-o-KHun dast-o-gareban ki ji jaanta hai

    roz-e-mahshar to na tha sham-e-mulaqat thi wo

    yun hue be-sar-o-saman ki ji jaanta hai

    mah-timsal tha ya KHanjar-e-uryan koi

    yun hai paiwast-e-rag-e-jaan ki ji jaanta hai

    dard hota to sar-e-sham sambhal bhi jata

    dil hai wo lashkar-e-arman ki ji jaanta hai

    be-sukuni ki talab hai nasha-e-qulzum-e-jaan

    aab hai tishna-e-haijaan ki ji jaanta hai

    tai kahan hoti hai rah-e-safar-e-na-malum

    gham hai yun dida-e-hairan ki ji jaanta hai

    Source:

    Bahar-e-ejaad (Pg. 151)

    • Author: Sayed Ameen Ashraf
      • Edition: 2007
      • Publisher: Sayed Ameen Ashraf
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now