bagh tha mujh mein aur fawwara phul mein tha
baaġh thā mujh meñ aur favvāra phuul meñ thā
manzar ye saare kā saarā phuul meñ thā
rāseñ thāme Thahr gayā maiñ raste meñ
jaise jannat kā nazzāra phuul meñ thā
tund havā.eñ le ga.iiñ us ko saath apne
haañ yaaro ik shaḳhs hamārā phuul meñ thā
jaltī aañkh meñ reg-e-bayābāñ uḌtī thī
aañkh lagī to maiñ dobāra phuul meñ thā
maiñ ne us ko chuum ke dekhā thā 'sarvat'
barf barastī thī angāra phuul meñ thā
bagh tha mujh mein aur fawwara phul mein tha
manzar ye sare ka sara phul mein tha
rasen thame Thahr gaya main raste mein
jaise jannat ka nazzara phul mein tha
tund hawaen le gain us ko sath apne
han yaro ek shaKHs hamara phul mein tha
jalti aankh mein reg-e-bayaban uDti thi
aankh lagi to main dobara phul mein tha
main ne us ko chum ke dekha tha 'sarwat'
barf barasti thi angara phul mein tha
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 65)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.